Kya 21 saal ke baad Height badh sakti hai? Janiye Science, Exercises aur "Height Badhane wali Dawai" ka Sach - Pharmacist Guide
- Personal Experience
Meri pharmacy par aksar 22-23 saal ke ladke aate hain aur maangte hain— "Bhaiya, height badhane ka koi capsule de do. Police bharti (Army) mein jana hai."
Jab main unhein mana karta hun, toh wo kehte hain— "YouTube par toh dikhate hain ki 25 saal tak height badhti hai."
Doston, ye aadha sach hai.
Height badhna koi 'Jadoo' nahi, balki Haddiyon (Bones) ka khel hai.
Agar aapki haddiyon ke darwaze (Growth Plates) khule hain, toh height badhegi. Agar band ho gaye, toh duniya ki koi takat height nahi badha sakti.
Main Pharmacist Aas Mohd, aaj aapko wo Exercises aur Tarike bataunga jo aapki Ruki hui Height ko maximum limit tak le ja sakte hain.
Kab aur Kyun Badhti hai Height? (Science)
Insan ki height 2 cheezon par depend karti hai:
- Genetics (80%): Agar mata-pita lambe hain, toh bacha lamba hoga.
- Growth Plates (20%): Hamari haddiyon ke kinaron par mulayam haddi (Cartilage) hoti hai. Jab tak ye mulayam rehti hai, haddi lambi hoti rehti hai.
Height Rukti Kab Hai?
- Ladke (Boys): 18 se 21 saal ki umar tak.
- Ladkiyan (Girls): 14 se 16 saal tak (Period shuru hone ke 2 saal baad height ruk jati hai).
Kaise Pata Karein Height Badhegi ya Nahi?
Ek X-Ray (Wrist/Kalai ka) karwayein. Agar Doctor bole ki "Growth Plates fuse (jud) gayi hain", toh height badhna namumkin hai.
🏃♂️ Top 5 Exercises: Jo Ruki Height Khol Sakti Hain
Agar aapki umar 18-20 ke beech hai, toh in exercises se aap 1-2 inch height kheench sakte hain (Spine ko seedha karke).
(Niche diye gaye descriptions ko dhyan se padhein aur image dekhein)
1. Cobra Stretch (Bhujangasana)
Ye exercise aapki Reedh ki Haddi (Spine) ko kholti hai.
- Kaise Karein: Pet ke bal let jayen. Haathon ko kandho ke neeche rakhein aur dhire-dhire upper body ko uthayein jaise saamp fun uthata hai.
- Hold: 30 second tak rukein.
2. Bar Hanging (Latakna)
Gravity ki wajah se hamari spine dab jati hai. Latakne se wo wapas khulti hai.
- Kaise Karein: Kisi bhi rod par latak jayen. Pairon ko zameen se upar rakhein aur body ko bilkul dheela chhod dein.
- Time: Rozana 2 minute (tukdon mein).
3. Skipping (Rassi Kudna)
Ye sabse best "High Impact" exercise hai. Jab aap kudte hain, toh haddiyon par pressure padta hai aur wo lamba hone ki koshish karti hain.
| Zarurat (Nutrient) | Kahan se milega? (Source) |
|---|---|
| Human Growth Hormone (HGH) | Ye neend mein banta hai. Rozana 8 ghante ki gehri neend lena sabse zaruri hai. |
| Calcium | Doodh, Dahi, Paneer. (Haddiyon ko lamba karne ke liye). |
| Vitamin D | Subah ki Dhoop (Sunlight) aur Anda (Egg Yolk). Bina iske Calcium hazam nahi hoga. |
| Protein | Daalein, Soybean, Chicken. (Muscles banane ke liye). |



टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें