Becosules ya Multivitamin khane ke baad Peshab Peela (Yellow Urine) kyu aata hai? Janiye Pharmacist se Muh ke Chhale aur Kamzori ka Sahi Ilaaj
- Personal Experience Pharmacy par aksar log ghabraye hue aate hain. Wo dheemi awaaz mein puchte hain— "Doctor sahab, kal maine wo taqat wala capsule (Becosules) khaya tha. Aaj subah jab main toilet gaya toh peshab ka rang bilkul Laal-Peela (Dark Yellow) aa raha hai. Kahin dawai garmi toh nahi kar gayi? Ya meri Kidney mein dikat hai?" Jab main unhe batata hun ki ye Darrne ki baat nahi, Khushi ki baat hai , toh wo hairan ho jate hain. Doston, aaj Pharmacist Aas Mohd aapko batayega ki Multivitamin khane par body ke andar kya hota hai aur Becosules vs A to Z mein se aapke liye kaun sa behtar hai. 1. Sabse Bada Sawal: Peshab Peela Kyun? (Yellow Urine Truth) Agar goli khane ke baad urine yellow aa raha hai, toh Mubarak ho! Aapki dawai Asli hai aur apna kaam kar rahi hai. Wajah: Becosules aur A to Z mein Vitamin B2 (Riboflavin) hota hai. Science: Riboflavin ka khud ka rang gehra peela hota hai. Hamari body ko jitne vitamin ki zarurat hoti hai, wo rakh let...