Kya aapka bacha bhi Daant Kitkitata hai? Pet ke keede (Worms) ka sahi ilaaj aur Albendazole ki Dose - Pharmacist Guide

 

Zentel Albendazole syrup dosage for kids in Hindi
- Personal Experience 

Meri pharmacy par aksar pareshan maa-baap aate hain. Unki shikayat same hoti hai— "Doctor sahab, ye bacha din bhar khata hai lekin iske shareer ko lagta hi nahi. Dubla-patla hai aur raat ko sote waqt daant bajata hai."

Jab main unse puchta hun ki aakhri baar Keede ki dawai (Deworming) kab pilayi thi? Toh wo sochna pad jate hain.

Doston, Pet ke Keede (Worms) bacho ka khoon pi jate hain. Agar waqt par dawai na di jaye, toh bacha Anemic (Khoon ki kami) ho sakta hai aur uska dimaagi vikas ruk sakta hai.

Main Pharmacist Aas Mohd, aaj aapko bataunga ki bacho ko Albendazole dene ka sahi tarika aur waqt kya hai.

Kaise Pehchanein ki Bache ke pet mein keede hain? (Symptoms)

Sirf pet dard hona hi nishani nahi hai. Ye lakshan dikhein toh savdhan ho jayen:

Daant Kitkitana: Raat ko sote waqt bacha agar daant bajata hai.

Safed Dhbbe: Chehre ya gaal par safed nishan (White patches) padna.

Khujli: Pakhane wali jagah (Anus) par bacha baar-baar khujli kare.

Mitti Khana: Agar bacha zameen se utha kar cheezein ya mitti khata hai (Pica disorder).

Dawai: Albendazole vs Mebendazole

Pharmacist hone ke naate hum sabse zyada Albendazole (400mg) dete hain.

Ye dawa keedo ko paralyze karti hai aur wo pakhane ke raste bahar nikal jate hain.

Popular Brands: Zentel, Bandy, Noworm.

Myth Buster (Jhooth vs Sach):

Log sochte hain "Bacha mitha (sugar) khata hai isliye keede ho gaye."

Sach: Keede mitha khane se nahi, balki Gande Haath, Bina dhule phal/sabzi, aur Nakhoon (Nails) chabaane se pet mein jate hain.

✅ Pharmacist Guide: Sahi Dose aur Tarika 

Ye dawai umar (age) ke hisab se di jati hai. Galti na karein.

Umar (Age) Sahi Dose (Albendazole)
1 saal se chhota Dawai Na Dein. Doctor ki salah ke bina 1 saal se chhote bache ko ye nahi deni chahiye.
1 se 2 saal 200mg (Aadhi Dose). Agar syrup hai toh 5ml (aadha), agar goli hai toh aadhi tablet pees kar dein.
2 saal se bada 400mg (Puri Dose). Puri 1 tablet ya pura 10ml syrup.
Kab Repeat karein? Har 6 Mahine baad ek dose zarur deni chahiye.

Dawai dene ka "Golden Rule"

Bacho ko dawai dete waqt ye 3 baatein yaad rakhein:

Raat ka Waqt: Ye dawai hamesha Raat ke khane ke baad deni chahiye.

Chaba kar khayein: Agar tablet hai, toh bache ko bole ki use Chaba-Chaba kar (Chew) khaye. Pani ke saath nigalne par ye kam asar karti hai.

Meetha khilayein: Dawai dene se pehle bache ko thoda Gud (Jaggery) ya meetha khila dein. Isse keede bahar aa jate hain aur dawai unpar seedha asar karti hai.

Kya sirf Bache hi lein? (Adults Deworming)
Ye sabse badi galatfehmi hai.

Agar ghar mein ek bache ko keede hain, toh pure parivar ko dawai leni chahiye.
Kyunki keede ke ande (eggs) bistar, towel aur toilet seat se pure ghar mein failte hain.
Isliye Har 6 Mahine mein pure parivar ko ek dose (400mg) leni chahiye.

💡 Pharmacist ki Aakhri Salah

Sirf dawai pilane se kaam nahi chalega, safayi zaruri hai.
Bacho ke Nakhoon (Nails) hamesha chote rakhein aur khana khane se pehle haath dhona sikhayein.

Agar bacha bahut kamzor hai, toh keede ki dawai ke baad Calcium aur Iron ka syrup zarur dein. (Konsa Multivitamin best hai, wo maine [https://apnapharmacistguide.blogspot.com/2026/01/blog-post_13.html?m=1] bataya hai).

Bache swasth, toh desh swasth.

Aapka Pharmacist Dost,
Aas Mohd

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Sugar ki dawai Metformin 500mg khane wale savdhan! Kya ye sach mein Kidney kharab karti hai? - Pharmacist Truth

Mehenge Shampoo lagana band karein! Ganje sar par baal ugane ka 100% Medical Tarika (Minoxidil 5%) - Pharmacist Guide

Nipah Virus India: Kya hai ye jaanlewa bimari? Lakshan, Bachav aur Ilaaj ka Sach - Pharmacist Guide