Daad (Ringworm) baar-baar wapas aa raha hai? Fourderm lagana band karein, Janiye Jad se khatam karne ka tarika - Pharmacist Guide
Meri pharmacy par rozana aise mareez aate hain jo kapde utha kar apni khujli dikhate hain aur kehte hain— "Bhaiya, 6 mahine ho gaye, ye Daad (Ringworm) thik hi nahi ho raha. Hazaron rupaye ki tube laga chuka hun."
Jab main unki tube dekhta hun, toh wo aksar Fourderm, Betnovate ya Quadriderm hoti hai.
Doston, yahi aapki sabse badi galti hai!
Ye creamein Steroid hoti hain. Ye fungus ko maarti nahi, balki chupa deti hain. Jab tak lagaoge, aaram rahega. Chhodte hi Daad double size mein wapas aayega.
Main Pharmacist Aas Mohd, aaj aapko bataunga wo Scientific Ilaaj jisse ziddi se ziddi Daad bhi 2 hafte mein gayab ho jayega.
Fungal Infection Asal mein Kyun hota hai?
Ye bacteria nahi, ek Fungus (Phaphoond) hai jo nami (moisture) mein panapta hai.
Gile Kapde: Pasine wale kapde der tak pehenna.
Dusre ka sabun/towel: Infection wale insaan ka towel use karna.
Galat Dawai: Steroid wali cream lagana.
Sahi Cream: Luliconazole (Lulifin)
Purani dawaiyan jaise Clotrimazole ab ziddi Daad par kaam nahi karti.
Aajkal Doctors ki pehli pasand hai Luliconazole 1%.
Ye thodi mehngi hoti hai, lekin ye Fungus ki jad (root) ko gala deti hai.
Kaise Lagayein? Daad ke nishan se 2 cm bahar tak lagayein. Sirf nishan par nahi.
Kab tak? Thik hone ke baad bhi 1 hafta aur lagana hai taaki fungus wapas na aaye.
✅ Pharmacist Guide: Pura Ilaaj
Sirf cream se kaam nahi chalega, andar se safayi bhi zaruri hai.
| Category | Sahi Dawai (Pharmacist Advice) |
|---|---|
| Lagane ke liye | Luliconazole Cream. Din mein 2 baar. (Fourderm/Betnovate galti se bhi na lagayein). |
| Khane ke liye | Itraconazole 100mg/200mg (Candiforce). Ye capsule fungus ko andar se maarta hai. (Doctor ki salah se lein). |
| Khujli ke liye | Agar khujli bardasht na ho, toh Levocetirizine ki goli raat ko le sakte hain. |
| Sabun (Soap) | Ketoconazole wala sabun (Ketoscalp) use karein. Normal sabun band kar dein. |

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें